Tuesday, 11 August 2020

आदम अलैहo की दुआ कैसे कुबूल हुई।

Hazrat Aadam A.s. ki Tawba kaise kubool hui

Halanki Is pe koi Sahih hadis nahi hai ki Hazrat Aadam A.s. ki Tawba tab kabool hui Jab unhone Hazrat Mohammad S.a.w. ka waseela dia . . lekin kuch zaif Riwayat ke bal pe bahot se log yahi maante hain ki Hazrat Adam A.s. ne Zameen pe aane ke 300 Saal baad Nabi S.a.w. ka waseela deke tawba ki

Lekin Quran is pe kya kahta hai wo dekhen to Pata chalta hai ki Quran ne badi Sarahat se Is waqye ka Zikr kia hai . . Surah Baqarah ki ayat 37 me hai ki Fir Aadam A.s. ne apne Rabb se kuch kalime seekh liye aur Allah ne unki Tawba ko kubool farmaya . . iske fauran baad ayat 38 me likha hai ki fir Allah ne unhe Huqm dia ki wo Jannat se utar jaayn

. . . . in Aayaat se Zahir hai ki Jannat se utarne se Pahle he Hazrat Aadam aur Maa Hawwa A.s. ki tawba kubool kr lee gai thi . . Allama Ahmad Saied kazmi R.a. ne bhi Ruhul Bayan ki Isi Qaul ko Tarjeeh di hai ki Zameen pe aane se Pahle Aapki Tauba kuboml ho chuki thi aur Zameen pe Rona Aajizi ke liye tha

AlLah ne Hazrat Aadam aur Maa Hawwa A.s. ko Tawba ke kaun se kalimat sikhaye Iska bhi bada khula khula Zikr hai Quran Majeed me

Hazrat Aadam aur Hawwa A.s. ne Jin kalimaat ke Zariye Allah se Tawba ki wo Kalimat Surah Aaraaf ki Aayah 23 me darj hain :
“Aye hamare Rabb hamne Apni Jaano pe Zulm kiya . Ab agar Tune hame Muaaf na kia aur ham pe Raham na dikhaya, fir to ham Ghaata uthaane walo me se honge.”

Ghaur Talab hai ki Yehi kalimaat aaj bhi Musalman apne Gunaho ki muafi maangne ke liye Padhte hain, 

Dua me Nabi kareem S.a.w. ka waseela lena Jayaz ho Sakta hai lekin Hazrat Aadam A.s. ne unka Waseela liya Aisa kahna Quran ki baat se Inkar karna hai . Quran me Jo baat Waazeh hai uske upar Zaif Riwayat ko Tarjeeh dena Seedhe Allah ke Qalaam ki mukhalifat karna hai . . . Jo bhai Ab tak na Jaante hon wo Ab Jaan len

~ ज़िया इम्तियाज़।

No comments:

Post a Comment

बुद्ध और ईसा।

एक दिन संयोग से मैंने डॉ. वेदप्रकाश उपाध्याय की किताब "नराशंस और अन्तिम ऋषि" में महात्मा बुद्ध द्वारा अपने शिष्य नन्दा को अपने अंत...